aaina saf tha dhundla hua rahta tha main
aa.ina saaf thā dhuñdlā huā rahtā thā maiñ
apnī sohbat meñ bhī ghabrāyā huā rahtā thā maiñ
apnā chehra mujhe katbe kī tarah lagtā thā
apne hī jism meñ dafnāyā huā rahtā thā maiñ
jis mohabbat kī zarūrat thī mire logoñ ko
us mohabbat se bhī baaz aayā huā rahtā thā maiñ
tū nahīñ aatā thā jis roz Tahalne ke liye
shāḳh ke haath pe kumlāyā huā rahtā thā maiñ
dūsre log batāte the ki maiñ kaisā huuñ
apne baare hī meñ bahkāyā huā rahtā thā maiñ
aaina saf tha dhundla hua rahta tha main
apni sohbat mein bhi ghabraya hua rahta tha main
apna chehra mujhe katbe ki tarah lagta tha
apne hi jism mein dafnaya hua rahta tha main
jis mohabbat ki zarurat thi mere logon ko
us mohabbat se bhi baz aaya hua rahta tha main
tu nahin aata tha jis roz Tahalne ke liye
shaKH ke hath pe kumlaya hua rahta tha main
dusre log batate the ki main kaisa hun
apne bare hi mein bahkaya hua rahta tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.