aaine ke aks se gul sa badan maila hua
ā.īne ke aks se gul sā badan mailā huā
sub.h ke partav se rañg-e-yāsman mailā huā
saaf ai uryānī-e-vahshat kahe detā huuñ maiñ
post khīñchūñgā agar merā badan mailā huā
ba.ad murdan bhī takalluf se kudūrat dil meñ hai
sohbat-e-kāfūr se apnā badan mailā huā
kyā tirī talvār bhī mujh se ġhubār-ālūd thī
ḳhūn-e-dil kā rañg kyuuñ ai teġh-zan mailā huā
shā.eroñ meñ guftugū aa.ī kudūrat kī baham
saaf kahtā huuñ ki ab rañg-e-suḳhan mailā huā
vasl kī shab bātoñ bātoñ meñ mukaddar ho ga.ī
guftugū-e-bosa se rañg-e-dahan mailā huā
sāf-goī se ġhubār ā.īne meñ aayā 'munīr'
merī bātoñ se dil-e-ahl-e-suḳhan mailā huā
aaine ke aks se gul sa badan maila hua
subh ke partaw se rang-e-yasman maila hua
saf ai uryani-e-wahshat kahe deta hun main
post khinchunga agar mera badan maila hua
baad murdan bhi takalluf se kudurat dil mein hai
sohbat-e-kafur se apna badan maila hua
kya teri talwar bhi mujh se ghubar-alud thi
KHun-e-dil ka rang kyun ai tegh-zan maila hua
shaeron mein guftugu aai kudurat ki baham
saf kahta hun ki ab rang-e-suKHan maila hua
wasl ki shab baaton baaton mein mukaddar ho gai
guftugu-e-bosa se rang-e-dahan maila hua
saf-goi se ghubar aaine mein aaya 'munir'
meri baaton se dil-e-ahl-e-suKHan maila hua
- Muntakhabul-Alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.