aaine ke par utar kar KHwabon mein kho jaenge
ā.īne ke paar utar kar ḳhvāboñ meñ kho jā.eñge
aadhī kahānī tum doharāo aadhī ham dohrā.eñge
tum ne bachā kar rakkhā hogā saayā apne hisse kā
ham dhūpoñ ke saath jiye haiñ chhāñv meñ jal jā.eñge
raat ke āñgan meñ utrā hai ek sitārā ḳhvāb liye
aaj kahāñ se niiñd kī pariyāñ DhūñD ke ab ham lā.eñge
hariyālī ke biich kā rasta tasvīroñ meñ qaid huā
ye to bahāroñ kī bāteñ haiñ aage likhte jā.eñge
sāñsoñ kā ye raaz anokhā sab hai ayaañ par sab pinhāñ
lamhoñ ko hī rok ke ik din ham ḳhud ko samjhā.eñge
aaine ke par utar kar KHwabon mein kho jaenge
aadhi kahani tum doharao aadhi hum dohraenge
tum ne bacha kar rakkha hoga saya apne hisse ka
hum dhupon ke sath jiye hain chhanw mein jal jaenge
raat ke aangan mein utra hai ek sitara KHwab liye
aaj kahan se nind ki pariyan DhunD ke ab hum laenge
hariyali ke bich ka rasta taswiron mein qaid hua
ye to bahaaron ki baaten hain aage likhte jaenge
sanson ka ye raaz anokha sab hai ayan par sab pinhan
lamhon ko hi rok ke ek din hum KHud ko samjhaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.