aaine se kab talak tum apna dil bahlaoge
aa.ine se kab talak tum apnā dil bahlāoge
chhā.eñge jab jab añdhere ḳhud ko tanhā pāoge
aarzū armān ḳhvāhish justujū vā'de vafā
dil lagā kar tum zamāne bhar ke dhoke khāoge
har hasīñ manzar se yaaro fāsle qaa.im rakho
chāñd gar dhartī pe utrā dekh kar Dar jāoge
zindagī ke chand lamhe ḳhud kī ḳhātir bhī rakho
bhiiḌ meñ har-dam rahe to ḳhud bhī gum ho jāoge
us galī meñ jā rahe ho 'ishq hai rusvā jahāñ
soch lo phir soch lo pachhtāoge pachhtāoge
aaine se kab talak tum apna dil bahlaoge
chhaenge jab jab andhere KHud ko tanha paoge
aarzu arman KHwahish justuju wa'de wafa
dil laga kar tum zamane bhar ke dhoke khaoge
har hasin manzar se yaro fasle qaim rakho
chand gar dharti pe utra dekh kar Dar jaoge
zindagi ke chand lamhe KHud ki KHatir bhi rakho
bhiD mein har-dam rahe to KHud bhi gum ho jaoge
us gali mein ja rahe ho 'ishq hai ruswa jahan
soch lo phir soch lo pachhtaoge pachhtaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.