aaine se tumhaari nazar der se mili
ā.īne se tumhārī nazar der se milī
mujh ko naved-e-shām-o-sahar der se milī
dariyā-e-be-ḳhudī ko bhañvar der se milā
paanī ko sāhiloñ kī ḳhabar der se milī
shāyad isī liye mujhe manzil na mil sakī
mujh ko tumhārī rāhguzar der se milī
be-ḳhvāb rāstoñ meñ ye ta.abīr-e-dard-e-dil
mil to ga.ī hai mujh ko magar der se milī
un ko na mil sakī tire ujle badan kī dhuup
jin ko ziyā-e-shams-o-qamar der se milī
aaine se tumhaari nazar der se mili
mujh ko nawed-e-sham-o-sahar der se mili
dariya-e-be-KHudi ko bhanwar der se mila
pani ko sahilon ki KHabar der se mili
shayad isi liye mujhe manzil na mil saki
mujh ko tumhaari rahguzar der se mili
be-KHwab raston mein ye tabir-e-dard-e-dil
mil to gai hai mujh ko magar der se mili
un ko na mil saki tere ujle badan ki dhup
jin ko ziya-e-shams-o-qamar der se mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.