aaina ahd-e-guzashta ka bacha rah gaya hai
aa.ina ahd-e-guzashta kā bachā rah gayā hai
tāq-e-nisyāñ pe abhī ek diyā rah gayā hai
khiḌkiyāñ so ga.iiñ ḳhāmosh hue saare charāġh
ik darīcha magar is ghar kā khulā rah gayā hai
ai havā ab to na kar aag ugalne kā amal
shāḳh par bas yahī ik pattā harā rah gayā hai
kahīñ Thokar se koī zaḳhm na aa jaa.e tujhe
dil hamārā tire qadmoñ meñ paḌā rah gayā hai
ab hai dariyā meñ koī shor na halchal koī
ho ke ḳhāmosh mirā sang-e-navā rah gayā hai
kis liye aa.ī hai tū ujḌe hue gulshan meñ
ab bhī kuchh kahne ko kyā bād-e-sabā rah gayā hai
zikr aa jaatā hai rasman sar-e-mahfil aksar
ab tirā naam faqat ḳhauf-e-ḳhudā rah gayā hai
aisā lagtā hai ki kuchh moḌ haiñ baaqī ġham ke
uThte uThte jo mirā dast-e-duā rah gayā hai
ai havā rāsta de us ko nikalne ke liye
bujh ga.ī aag dhuāñ ghar meñ bharā rah gayā hai
kis liye zid kiye hai chhoḌ ke jaane kī mujhe
ḳhāmushī tere sivā paas meñ kyā rah gayā hai
us ke chehre pe chamak hai na koī rang 'mujīb'
haañ hathelī pe magar rang-e-hinā rah gayā hai
aaina ahd-e-guzashta ka bacha rah gaya hai
taq-e-nisyan pe abhi ek diya rah gaya hai
khiDkiyan so gain KHamosh hue sare charagh
ek daricha magar is ghar ka khula rah gaya hai
ai hawa ab to na kar aag ugalne ka amal
shaKH par bas yahi ek patta hara rah gaya hai
kahin Thokar se koi zaKHm na aa jae tujhe
dil hamara tere qadmon mein paDa rah gaya hai
ab hai dariya mein koi shor na halchal koi
ho ke KHamosh mera sang-e-nawa rah gaya hai
kis liye aai hai tu ujDe hue gulshan mein
ab bhi kuchh kahne ko kya baad-e-saba rah gaya hai
zikr aa jata hai rasman sar-e-mahfil aksar
ab tera nam faqat KHauf-e-KHuda rah gaya hai
aisa lagta hai ki kuchh moD hain baqi gham ke
uThte uThte jo mera dast-e-dua rah gaya hai
ai hawa rasta de us ko nikalne ke liye
bujh gai aag dhuan ghar mein bhara rah gaya hai
kis liye zid kiye hai chhoD ke jaane ki mujhe
KHamushi tere siwa pas mein kya rah gaya hai
us ke chehre pe chamak hai na koi rang 'mujib'
han hatheli pe magar rang-e-hina rah gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.