aaina apne dil ka saf kiya
aa.ina apne dil kā saaf kiyā
jā tujhe maiñ ne ab mu'āf kiyā
terī bātoñ kā e'tirāf kiyā
tū ne mujh se hī iḳhtilāf kiyā
shab-e-furqat thī sard so ham ne
vasl ke ḳhvāb ko lihāf kiyā
chāñd kartā hai jyuuñ zamīñ kā tavāf
tere kūche kā yuuñ tavāf kiyā
'ishq se ham ne āshnā.ī kī
tū ne bas 'ain shiin qaaf kiyā
ik parī-rū ne dil meñ ho ke makīñ
dil mirā jaise koh-e-qāf kiyā
karnī thī jo namāz-e-'ishq adā
ham ne sahrā meñ ai'takāf kiyā
ye sukūñ ehtijāj karne lagā
faisla dil ke kyoñ ḳhilāf kiyā
nā-umīdī kī tīrgī meñ 'anīs'
ek ummīd ne shigāf kiyā
aaina apne dil ka saf kiya
ja tujhe main ne ab mu'af kiya
teri baaton ka e'tiraf kiya
tu ne mujh se hi iKHtilaf kiya
shab-e-furqat thi sard so hum ne
wasl ke KHwab ko lihaf kiya
chand karta hai jyun zamin ka tawaf
tere kuche ka yun tawaf kiya
'ishq se hum ne aashnai ki
tu ne bas 'ain shin qaf kiya
ek pari-ru ne dil mein ho ke makin
dil mera jaise koh-e-qaf kiya
karni thi jo namaz-e-'ishq ada
hum ne sahra mein ai'takaf kiya
ye sukun ehtijaj karne laga
faisla dil ke kyon KHilaf kiya
na-umidi ki tirgi mein 'anis'
ek ummid ne shigaf kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.