aaina dekhna angusht ba-dandan rahna
aa.ina dekhnā añgusht ba-dandāñ rahnā
us ne to ham ko bhī sikhlā diyā hairāñ rahnā
Dagmagā jaa.eñ qadam rāh-e-talab meñ kis vaqt
tū mire saath mire shauq gurezāñ rahnā
dil-e-nāzuk ko lagānā thā Thikāne yā-rab
is ke bas kā nahīñ nazdīk-e-rag-e-jāñ rahnā
jo huā tuur pe is meñ nahīñ hairat koī
ibn-e-ādam kī to taqdīr hai hairāñ rahnā
tere me.aar pe ai zindagī rahnā hai kaThin
siikh le tū hī mirī shaan ke shāyāñ rahnā
maiñ to kar guzrūñgā jo dil meñ mire aa.egī
mujh ko manzūr nahīñ apnā nigahbāñ rahnā
us kī nazroñ meñ kahīñ ye bhī ibādat hī na ho
umr bhar ḳhud se mirā dast-o-garebāñ rahnā
daur-e-hāzir kī badaltī huī in qadroñ meñ
kitnā dushvār hai insān kā insāñ rahnā
aaina dekhna angusht ba-dandan rahna
us ne to hum ko bhi sikhla diya hairan rahna
Dagmaga jaen qadam rah-e-talab mein kis waqt
tu mere sath mere shauq gurezan rahna
dil-e-nazuk ko lagana tha Thikane ya-rab
is ke bas ka nahin nazdik-e-rag-e-jaan rahna
jo hua tur pe is mein nahin hairat koi
ibn-e-adam ki to taqdir hai hairan rahna
tere mear pe ai zindagi rahna hai kaThin
sikh le tu hi meri shan ke shayan rahna
main to kar guzrunga jo dil mein mere aaegi
mujh ko manzur nahin apna nigahban rahna
us ki nazron mein kahin ye bhi ibaadat hi na ho
umr bhar KHud se mera dast-o-gareban rahna
daur-e-hazir ki badalti hui in qadron mein
kitna dushwar hai insan ka insan rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.