aaina dekhta hua koi
aa.ina dekhtā huā koī
ek pal meñ badal gayā koī
is galī se nikal gayā aage
mere baare meñ pūchhtā koī
us ne dhīre se kuchh kahā dil meñ
tham gayā jo thā shor sā koī
dil talak rāsta banātā gayā
merī āñkhoñ meñ jhāñktā koī
dil kī ḳhvāhish bas ek vasl tirā
hāsil-e-zīst mo.ajiza koī
'roz' yuuñ mujh ko dekhte haiñ aap
kaam hai mujh se aap kā koī
aaina dekhta hua koi
ek pal mein badal gaya koi
is gali se nikal gaya aage
mere bare mein puchhta koi
us ne dhire se kuchh kaha dil mein
tham gaya jo tha shor sa koi
dil talak rasta banata gaya
meri aankhon mein jhankta koi
dil ki KHwahish bas ek wasl tera
hasil-e-zist moajiza koi
'roz' yun mujh ko dekhte hain aap
kaam hai mujh se aap ka koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.