aaina dil ka jab bhi saf hua
aa.ina dil kā jab bhī saaf huā
ik haqīqat kā inkishāf huā
dil mirā ḳhuun ho gayā lekin
pattharoñ meñ kahāñ shigāf huā
dā.era baḌhte baḌhte TuuT gayā
ek nuqte pe iḳhtilāf huā
maiñ to haq kī talāsh meñ niklā
kyoñ zamāna mire ḳhilāf huā
gardishoñ meñ bhañvar ke jab utrā
phir samundar kā e'tirāf huā
aaina dil ka jab bhi saf hua
ek haqiqat ka inkishaf hua
dil mera KHun ho gaya lekin
pattharon mein kahan shigaf hua
daera baDhte baDhte TuT gaya
ek nuqte pe iKHtilaf hua
main to haq ki talash mein nikla
kyon zamana mere KHilaf hua
gardishon mein bhanwar ke jab utra
phir samundar ka e'tiraf hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.