aaina hum sar-e-bazar jo le kar nikle
aa.ina ham sar-e-bāzār jo le kar nikle
jaane kyā baat thī har samt se patthar nikle
bātil-e-vaqt ke jab bhī kabhī lashkar nikle
haq-parastī kā alam le ke bahattar nikle
kaT ga.ī umr ġharībī ke bhañvar meñ lekin
us kī jholī se ka.ī qīmtī zevar nikle
buġhz-o-nafrat kī havā chalne lagī hai har-sū
aadmī ghar se zarā soch samajh kar nikle
jin ke kirdār pe duniyā ne uThā.ī uñglī
mehr-o-iḳhlās ke vo log samundar nikle
hāl-e-dil apnā sunā.eñ bhī to kis se 'sābir'
mom samjhā thā jinheñ dil ke vo patthar nikle
aaina hum sar-e-bazar jo le kar nikle
jaane kya baat thi har samt se patthar nikle
baatil-e-waqt ke jab bhi kabhi lashkar nikle
haq-parasti ka alam le ke bahattar nikle
kaT gai umr gharibi ke bhanwar mein lekin
us ki jholi se kai qimti zewar nikle
bughz-o-nafrat ki hawa chalne lagi hai har-su
aadmi ghar se zara soch samajh kar nikle
jin ke kirdar pe duniya ne uThai ungli
mehr-o-iKHlas ke wo log samundar nikle
haal-e-dil apna sunaen bhi to kis se 'sabir'
mom samjha tha jinhen dil ke wo patthar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.