aaina hun ek hairani mere chaaron taraf
aa.ina huuñ ek hairānī mire chāroñ taraf
lamha lamha hashr-sāmānī mire chāroñ taraf
bahr-e-isyāñ meñ ghirā nanhe jazīre sā vo maiñ
aur phir hadd-e-nazar paanī mire chāroñ taraf
jurm hai ma.asūmiyat ma.atūb hai dīvāngī
hai ḳhirad-mandoñ kī nādānī mire chāroñ taraf
vaqfe vaqfe se yahāñ uThne lage haiñ gard-bād
har taraf māhaul tūfānī mire chāroñ taraf
bastiyāñ jitnī bhī thiiñ shahr-e-ḳhamoshāñ ho ga.iiñ
ho ga.ī ābād vīrānī mire chāroñ taraf
maiñ ki huuñ har haal meñ chashm-e-tavajjoh kā shikār
hai taġhāful kī nigahbānī mire chāroñ taraf
kaun hai jabr-o-sazā kā mustahiq mere sivā
hai jo bad-ḳhvāhoñ kī sultānī mire chāroñ taraf
aaina hun ek hairani mere chaaron taraf
lamha lamha hashr-samani mere chaaron taraf
bahr-e-isyan mein ghira nanhe jazire sa wo main
aur phir hadd-e-nazar pani mere chaaron taraf
jurm hai masumiyat matub hai diwangi
hai KHirad-mandon ki nadani mere chaaron taraf
waqfe waqfe se yahan uThne lage hain gard-baad
har taraf mahaul tufani mere chaaron taraf
bastiyan jitni bhi thin shahr-e-KHamoshan ho gain
ho gai aabaad virani mere chaaron taraf
main ki hun har haal mein chashm-e-tawajjoh ka shikar
hai taghaful ki nigahbani mere chaaron taraf
kaun hai jabr-o-saza ka mustahiq mere siwa
hai jo bad-KHwahon ki sultani mere chaaron taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.