aaina-KHana-e-guman ko chhoD
ā.ina-ḳhāna-e-gumān ko chhoḌ
tū mire zikr mere dhyān ko chhoḌ
ḳhilqat-e-shahr jhuuT boltī hai
ḳhilqat-e-shahr ke bayān ko chhoḌ
rañj mat kar alaav bujhne kā
zaḳhm-dar-zaḳhm dāstān ko chhoḌ
is zamīñ par gulāb-e-vasl khilā
bāñjh miTTī ke āsmān ko chhoḌ
shaam hone se peshtar 'shahzād'
tū bhī is jism ke makān ko chhoḌ
aaina-KHana-e-guman ko chhoD
tu mere zikr mere dhyan ko chhoD
KHilqat-e-shahr jhuT bolti hai
KHilqat-e-shahr ke bayan ko chhoD
ranj mat kar alaw bujhne ka
zaKHm-dar-zaKHm dastan ko chhoD
is zamin par gulab-e-wasl khila
banjh miTTi ke aasman ko chhoD
sham hone se peshtar 'shahzad'
tu bhi is jism ke makan ko chhoD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.