aaina-KHana karenge dil-e-nakaam ko hum
ā.ina-ḳhāna kareñge dil-e-nākām ko ham
phereñge apnī taraf rū-e-dil-ārām ko ham
shaam se sub.h talak daur-e-sharāb āḳhir hai
rote haiñ dekh ke ḳhandāñ dahan-e-jām ko ham
yaad rakhne kī jagah hai ye tilism-e-hairat
sub.h ko dekhte hī bhuul ga.e shaam ko ham
aañkh vo fitna-e-daurāñ kise dikhlātā hai
sho.abada jānte haiñ gardish-e-ayyām ko ham
fitna-añgezī bhī chhuptī hai kahīñ parde meñ
sunte haiñ gabr o musalmāñ se tire naam ko ham
ḳhūn-e-qāsid to vo saffāk samajhtā hai halāl
kisī ġhammāz se bhejvā.eñge paiġhām ko ham
paañv pakḌe haiñ zamīñ ne ye tire kūcha kī
rah-e-sad-sāla samajhte haiñ ab ik gaam ko ham
dīda-e-yār kaheñ kyā use kaif-e-mai meñ
bhuun kar roz gazak karte haiñ bādām ko ham
beza-e-ḳhat se huī us kī kudūrat dah-chand
ab safā.ī ke liye DhūñDeñge hajjām ko ham
yahī tahsīl-e-mohabbat kā hai aalam tā-hāl
puḳhta karte haiñ hanūz ārzū-e-ḳhām ko ham
lutf hāsil ho jo zulfoñ meñ giraftārī kā
mol leñ dil kī asīrī ke liye daam ko ham
kūcha-e-yār meñ apnā jo guzar hotā hai
nigarāñ rahte haiñ hasrat se dar-o-bām ko ham
husn se ishq kī ḳhātir hai ḳhudā ne bhejā
karte haiñ 'ātish' use aa.e haiñ jis kaam ko ham
aaina-KHana karenge dil-e-nakaam ko hum
pherenge apni taraf ru-e-dil-aram ko hum
sham se subh talak daur-e-sharab aaKHir hai
rote hain dekh ke KHandan dahan-e-jam ko hum
yaad rakhne ki jagah hai ye tilism-e-hairat
subh ko dekhte hi bhul gae sham ko hum
aankh wo fitna-e-dauran kise dikhlata hai
shoabada jaante hain gardish-e-ayyam ko hum
fitna-angezi bhi chhupti hai kahin parde mein
sunte hain gabr o musalman se tere nam ko hum
KHun-e-qasid to wo saffak samajhta hai halal
kisi ghammaz se bhejwaenge paigham ko hum
panw pakDe hain zamin ne ye tere kucha ki
rah-e-sad-sala samajhte hain ab ek gam ko hum
dida-e-yar kahen kya use kaif-e-mai mein
bhun kar roz gazak karte hain baadam ko hum
beza-e-KHat se hui us ki kudurat dah-chand
ab safai ke liye DhunDenge hajjam ko hum
yahi tahsil-e-mohabbat ka hai aalam ta-haal
puKHta karte hain hanuz aarzu-e-KHam ko hum
lutf hasil ho jo zulfon mein giraftari ka
mol len dil ki asiri ke liye dam ko hum
kucha-e-yar mein apna jo guzar hota hai
nigaran rahte hain hasrat se dar-o-baam ko hum
husn se ishq ki KHatir hai KHuda ne bheja
karte hain 'atish' use aae hain jis kaam ko hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.