aaina phir nikhar gaya hai kya
aa.ina phir nikhar gayā hai kyā
merā chehra utar gayā hai kyā
phir nishāñ piiTh par nayā ubhrā
phir koī dost mar gayā hai kyā
kab se mausam hai sard rātoñ kā
merā sūraj guzar gayā hai kyā
dil kī yādeñ hai sab qarīne se
to ye bachcha sudhar gayā hai kyā
kab se aḳhtar-shumār haiñ āñkheñ
koī sapnā bikhar gayā hai kyā
kyoñ gumāñ hai mire yaqīñ pe tumheñ
koī va.ada mukar gayā hai kyā
kitnā vīrān sā hai ab 'sāhil'
kaam sailāb kar gayā hai kyā
aaina phir nikhar gaya hai kya
mera chehra utar gaya hai kya
phir nishan piTh par naya ubhra
phir koi dost mar gaya hai kya
kab se mausam hai sard raaton ka
mera suraj guzar gaya hai kya
dil ki yaaden hai sab qarine se
to ye bachcha sudhar gaya hai kya
kab se aKHtar-shumar hain aankhen
koi sapna bikhar gaya hai kya
kyon guman hai mere yaqin pe tumhein
koi wada mukar gaya hai kya
kitna viran sa hai ab 'sahil'
kaam sailab kar gaya hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.