aaina toD de riha kar de
aa.ina toḌ de rihā kar de
bevafā ik yahī vafā kar de
rishta-e-dard toḌ de dil se
rañg ko phuul se judā kar de
zindagī-bhar tujhī ko chāhā hai
qarz kuchh to mirā adā kar de
de rahā hai zakāt-e-husn agar
mire haq se zarā baḌhā kar de
muddateñ ho ga.iiñ tujhe dekhe
ab to milne kā silsila kar de
phir koī gul khile sar-e-mizhgāñ
phir dar-e-ḳhvāb koī vā kar de
ik sitāre ko baḳhsh kar mire ḳhvāb
phir use merā aa.ina kar de
baiThtā jā rahā hai jaañ kā ġhubār
ab use mujh se māvarā kar de
ai faqīr-e-dayār-e-lailī-jāñ
mire haq meñ bhī kuchh duā kar de
aaina toD de riha kar de
bewafa ek yahi wafa kar de
rishta-e-dard toD de dil se
rang ko phul se juda kar de
zindagi-bhar tujhi ko chaha hai
qarz kuchh to mera ada kar de
de raha hai zakat-e-husn agar
mere haq se zara baDha kar de
muddaten ho gain tujhe dekhe
ab to milne ka silsila kar de
phir koi gul khile sar-e-mizhgan
phir dar-e-KHwab koi wa kar de
ek sitare ko baKHsh kar mere KHwab
phir use mera aaina kar de
baiThta ja raha hai jaan ka ghubar
ab use mujh se mawara kar de
ai faqir-e-dayar-e-laili-jaan
mere haq mein bhi kuchh dua kar de
- Book : Tumhe.n Jaanee kii jaldii thii (Pg. 100)
- Author : Ayub Khawar
- Publication : Al-Hamd Publications (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.