aaine mein kai chehre nazar aate hain mujhe
aa.ine meñ ka.ī chehre nazar aate haiñ mujhe
raqs karte hue saa.e nazar aate haiñ mujhe
un ko mahfil se uThā laayā huuñ tanhā.ī meñ
dekhnā ye hai ki kaise nazar aate haiñ mujhe
ek tujh ko hī nahīñ dekhne paatī mirī aañkh
har taraf tere tamāshe nazar aate haiñ mujhe
apnī manzil pe pahuñchne ke liye roz-o-shab
dauḌte-bhāgte raste nazar aate haiñ mujhe
dekhtā rahtā huuñ shahroñ pe dhueñ ke bādal
aur uThte hue sho'le nazar aate haiñ mujhe
aaine mein kai chehre nazar aate hain mujhe
raqs karte hue sae nazar aate hain mujhe
un ko mahfil se uTha laya hun tanhai mein
dekhna ye hai ki kaise nazar aate hain mujhe
ek tujh ko hi nahin dekhne pati meri aankh
har taraf tere tamashe nazar aate hain mujhe
apni manzil pe pahunchne ke liye roz-o-shab
dauDte-bhagte raste nazar aate hain mujhe
dekhta rahta hun shahron pe dhuen ke baadal
aur uThte hue sho'le nazar aate hain mujhe
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 91)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 93)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.