aaine mein pas-e-manzar ka ubharna kaisa
aa.ine meñ pas-e-manzar kā ubharnā kaisā
jhiil jaisī tirī āñkhoñ meñ ye jharnā kaisā
umr-bhar saath raho to kahīñ mahke āñgan
kisī ḳhushbū kī tarah chhū ke guzarnā kaisā
vo to ik ḳhvāhish-e-nākām thī jo chīḳh paḌī
be-sabab apnī hī āvāz se Darnā kaisā
gard shīshoñ se haTāo to koī baat bane
andhe ā.īnoñ ke aage ye sañvarnā kaisā
pheñk do bār-e-alam kuchh to safar āsāñ ho
bojh laade hue duniyā se guzarnā kaisā
ai mire shor-e-nafas bār-e-samā.at se gurez
niiñd ke vaqt sadāoñ kā ubharnā kaisā
gosh-e-ummīd hue jabki sadāoñ ke asiir
fat.h phir koh-e-nidā kā 'ziyā' karnā kaisā
aaine mein pas-e-manzar ka ubharna kaisa
jhil jaisi teri aankhon mein ye jharna kaisa
umr-bhar sath raho to kahin mahke aangan
kisi KHushbu ki tarah chhu ke guzarna kaisa
wo to ek KHwahish-e-nakaam thi jo chiKH paDi
be-sabab apni hi aawaz se Darna kaisa
gard shishon se haTao to koi baat bane
andhe aainon ke aage ye sanwarna kaisa
phenk do bar-e-alam kuchh to safar aasan ho
bojh lade hue duniya se guzarna kaisa
ai mere shor-e-nafas bar-e-samaat se gurez
nind ke waqt sadaon ka ubharna kaisa
gosh-e-ummid hue jabki sadaon ke asir
fath phir koh-e-nida ka 'ziya' karna kaisa
- Book : Pas-e-Gard-e-Safar (Pg. 110)
- Author : Zia Farooqui
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.