aaine se kalam karte hue
aa.ine se kalām karte hue
zindagī jhuum uThī sañvarte hue
kitne hijr-o-visāl lahrā.e
dekh ke rail ko guzarte hue
bevafā.ī phisal ke chīḳh uThī
pyaar kī sīḌhiyāñ utarte hue
maan baiThī hai jab mujhe saaya
dhuup kyoñ aa rahī hai Darte hue
zulm Dhaa.e haiñ 'umr bhar tū ne
ab mu'āfī na maañg marte hue
kyā kahūñ kyā sukūñ milā 'zāhid'
us ke darvāze pe Thaharte hue
aaine se kalam karte hue
zindagi jhum uThi sanwarte hue
kitne hijr-o-visal lahrae
dekh ke rail ko guzarte hue
bewafai phisal ke chiKH uThi
pyar ki siDhiyan utarte hue
man baiThi hai jab mujhe saya
dhup kyon aa rahi hai Darte hue
zulm Dhae hain 'umr bhar tu ne
ab mu'afi na mang marte hue
kya kahun kya sukun mila 'zahid'
us ke darwaze pe Thaharte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.