aaine se mila nishan tera
aa.ine se milā nishān tirā
ḳhud pe hone lagā gumān tirā
vo to jangal se lauT hī aatā
rāste meñ milā nishān tirā
kaaT kar fasl ab judā.ī kī
de rahā hai koī lagān tirā
chhat koī bhī ho mere sar pe magar
saath rahtā hai āsmān tirā
pahle bādal tujhe bhigo.egā
phir havā legī imtihān tirā
aaine se mila nishan tera
KHud pe hone laga guman tera
wo to jangal se lauT hi aata
raste mein mila nishan tera
kaT kar fasl ab judai ki
de raha hai koi lagan tera
chhat koi bhi ho mere sar pe magar
sath rahta hai aasman tera
pahle baadal tujhe bhigoega
phir hawa legi imtihan tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.