aaiye dahr mein insan ka chehra DhunDen
aa.iye dahr meñ insān kā chehra DhūñDeñ
be-yaqīnī meñ bhī imkān kā chehra DhūñDeñ
ahl-e-fan dāman-e-iḳhlās talab karte haiñ
shahr kī bhiiḌ meñ pahchān kā chehra DhūñDeñ
adl par apne sarāboñ kā asar haavī hai
dostoñ aao ki mīzān kā chehra DhūñDeñ
bhuuk se log taḌapte haiñ gharoñ meñ apne
ahl-e-sarvat meñ ham ehsān kā chehra DhūñDeñ
khet meñ fasl-e-sahar bikne lagī hai phir se
ham har ik daane pe dahqān kā chehra DhūñDeñ
haiñ hujūm-e-ġham-e-daurāñ se pareshān to kyā
apne aslāf ke aivān kā chehra DhūñDeñ
yās-o-hasrat kī riyāsat meñ nahīñ ham tanhā
qarya qarya chalo haijān kā chehra DhūñDeñ
aaiye dahr mein insan ka chehra DhunDen
be-yaqini mein bhi imkan ka chehra DhunDen
ahl-e-fan daman-e-iKHlas talab karte hain
shahr ki bhiD mein pahchan ka chehra DhunDen
adl par apne sarabon ka asar hawi hai
doston aao ki mizan ka chehra DhunDen
bhuk se log taDapte hain gharon mein apne
ahl-e-sarwat mein hum ehsan ka chehra DhunDen
khet mein fasl-e-sahar bikne lagi hai phir se
hum har ek dane pe dahqan ka chehra DhunDen
hain hujum-e-gham-e-dauran se pareshan to kya
apne aslaf ke aiwan ka chehra DhunDen
yas-o-hasrat ki riyasat mein nahin hum tanha
qarya qarya chalo haijaan ka chehra DhunDen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.