Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaiye dahr mein insan ka chehra DhunDen

Abdul Matin Jami

aaiye dahr mein insan ka chehra DhunDen

Abdul Matin Jami

MORE BYAbdul Matin Jami

    aa.iye dahr meñ insān chehra DhūñDeñ

    be-yaqīnī meñ bhī imkān chehra DhūñDeñ

    ahl-e-fan dāman-e-iḳhlās talab karte haiñ

    shahr bhiiḌ meñ pahchān chehra DhūñDeñ

    adl par apne sarāboñ asar haavī hai

    dostoñ aao ki mīzān chehra DhūñDeñ

    bhuuk se log taḌapte haiñ gharoñ meñ apne

    ahl-e-sarvat meñ ham ehsān chehra DhūñDeñ

    khet meñ fasl-e-sahar pakne lagī hai phir se

    ham har ik daane pe dahqān chehra DhūñDeñ

    haiñ hujūm-e-ġham-e-daurāñ se pareshān to kyā

    apne aslāf ke aivān chehra DhūñDeñ

    yās-o-hasrat riyāsat meñ nahīñ ham tanhā

    qarya qarya chalo haijān chehra DhūñDeñ

    aaiye dahr mein insan ka chehra DhunDen

    be-yaqini mein bhi imkan ka chehra DhunDen

    ahl-e-fan daman-e-iKHlas talab karte hain

    shahr ki bhiD mein pahchan ka chehra DhunDen

    adl par apne sarabon ka asar hawi hai

    doston aao ki mizan ka chehra DhunDen

    bhuk se log taDapte hain gharon mein apne

    ahl-e-sarwat mein hum ehsan ka chehra DhunDen

    khet mein fasl-e-sahar pakne lagi hai phir se

    hum har ek dane pe dahqan ka chehra DhunDen

    hain hujum-e-gham-e-dauran se pareshan to kya

    apne aslaf ke aiwan ka chehra DhunDen

    yas-o-hasrat ki riyasat mein nahin hum tanha

    qarya qarya chalo haijaan ka chehra DhunDen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now