aaj aae hain kal jaana hai phir ishq ko ruswa kaun kare
aaj aa.e haiñ kal jaanā hai phir ishq ko rusvā kaun kare
do-roza duniyā hai ye to duniyā kī tamannā kaun kare
majbūr nahīñ muḳhtār sahī ḳhuddārī ko rusvā kaun kare
jab maut hī māñge se na milī jiine kī tamannā kaun kare
us lazzat-e-ġham kā kyā kahnā vo yaad to aate rahte haiñ
ġham dene vaale ke sadqe ab ġham kā mudāvā kaun kare
bar aa.e tamannā jab na koī phir aisī tamannā se hāsil
go dil kā taqāza laakh sahī tauhīn-e-tamannā kaun kare
hoñToñ pe hañsī āñkhoñ meñ namī māthe pe shikan bal abrū meñ
allāh rī tarz-e-pursish-e-ġham ab ġham kā shikva kaun kare
maḳhmūr fazā mastāna ghaTā sāġhar kī khanak ġhunchoñ kī chaTak
ab aise mausam meñ saaqī andesha-e-fardā kaun kare
kyoñ apne nasheman ko ḳhud hī ab aag lagā deñ ham na 'sa.īd'
bijlī kī shikāyat kaun kare āñdhī kā shikva kaun kare
aaj aae hain kal jaana hai phir ishq ko ruswa kaun kare
do-roza duniya hai ye to duniya ki tamanna kaun kare
majbur nahin muKHtar sahi KHuddari ko ruswa kaun kare
jab maut hi mange se na mili jine ki tamanna kaun kare
us lazzat-e-gham ka kya kahna wo yaad to aate rahte hain
gham dene wale ke sadqe ab gham ka mudawa kaun kare
bar aae tamanna jab na koi phir aisi tamanna se hasil
go dil ka taqaza lakh sahi tauhin-e-tamanna kaun kare
honTon pe hansi aankhon mein nami mathe pe shikan bal abru mein
allah ri tarz-e-pursish-e-gham ab gham ka shikwa kaun kare
maKHmur faza mastana ghaTa saghar ki khanak ghunchon ki chaTak
ab aise mausam mein saqi andesha-e-farda kaun kare
kyon apne nasheman ko KHud hi ab aag laga den hum na 'said'
bijli ki shikayat kaun kare aandhi ka shikwa kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.