aaj aaya hai mere aage ek baDa gambhir sawal
aaj aaya hai mere aage ek baḌā gambhīr savāl
us kī har tahrīr talab hai us kī har taqrīr savāl
ḳhuun se apne likhte rahnā kyā kyā pur-tāsīr savāl
hijr kī shab phir ḳhud hī miTānā saare be-ta.abīr savāl
sar par chāñdī ug aa.ī hai lekin uqde kam na hue
ab bhī khaḌe haiñ raah meñ ban kar pairoñ kī zanjīr savāl
avval avval uf vo kisī kī kab aur kyoñ kā lutf-o-surūr
āḳhir āḳhir bante jaanā dil ke liye ta.azīr savāl
tadbīroñ ke nange sar par dast-e-duā kā saaya thā
merī ek ik haar pe mujh se kartī hai taqdīr savāl
lamhe phir se uḌ jaate haiñ de kar kuchh sat-range ḳhvāb
aur phir ik din ban jaanī hai ḳhvāboñ kī ta.abīr savāl
āñkheñ de nahīñ paatī haiñ jab āñkhoñ kā bharpūr javāb
chhalnī kar dete haiñ dil ko tab ban ban kar tiir savāl
zulm-o-sitam kā chaḌhtā sūraj amn-o-amāñ ke bujhte diip
aaj kī duniyā kī qismat haiñ kitne ātish-gīr savāl
ishq ne aisā cholā badlā husn ne aisā badlā ruup
jis ke aage is kal-yug meñ kal ke rāñjhe hiir savāl
hindī meñ ab paḌhte haiñ ham urdu kī nazmeñ ġhazleñ
urdu meñ ban jā.eñge āḳhir 'ġhālib' 'momin' 'mīr' savāl
farz samajh kar koshish karnā us ke kaam aane kī 'sahar'
vaqt ke hāthoñ jab ban jaa.e muflis kī tauqīr savāl
aaj aaya hai mere aage ek baDa gambhir sawal
us ki har tahrir talab hai us ki har taqrir sawal
KHun se apne likhte rahna kya kya pur-tasir sawal
hijr ki shab phir KHud hi miTana sare be-tabir sawal
sar par chandi ug aai hai lekin uqde kam na hue
ab bhi khaDe hain rah mein ban kar pairon ki zanjir sawal
awwal awwal uf wo kisi ki kab aur kyon ka lutf-o-surur
aaKHir aaKHir bante jaana dil ke liye tazir sawal
tadbiron ke nange sar par dast-e-dua ka saya tha
meri ek ek haar pe mujh se karti hai taqdir sawal
lamhe phir se uD jate hain de kar kuchh sat-range KHwab
aur phir ek din ban jaani hai KHwabon ki tabir sawal
aankhen de nahin pati hain jab aankhon ka bharpur jawab
chhalni kar dete hain dil ko tab ban ban kar tir sawal
zulm-o-sitam ka chaDhta suraj amn-o-aman ke bujhte dip
aaj ki duniya ki qismat hain kitne aatish-gir sawal
ishq ne aisa chola badla husn ne aisa badla rup
jis ke aage is kal-yug mein kal ke ranjhe hir sawal
hindi mein ab paDhte hain hum urdu ki nazmen ghazlen
urdu mein ban jaenge aaKHir 'ghaalib' 'momin' 'mir' sawal
farz samajh kar koshish karna us ke kaam aane ki 'sahar'
waqt ke hathon jab ban jae muflis ki tauqir sawal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.