Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj achanak phir ye kaisi KHushbu phaili yaadon ki

Unwan Chishti

aaj achanak phir ye kaisi KHushbu phaili yaadon ki

Unwan Chishti

MORE BYUnwan Chishti

    aaj achānak phir ye kaisī ḳhushbū phailī yādoñ

    dil ko aadat chhūT chukī thī muddat se fariyādoñ

    dīvānoñ bhes banā leñ sūrat shahzādoñ

    duur se pahchānī jaatī hai shakl tire barbādoñ

    shart-e-shīrīñ kyā puurī ho tesha-o-jur.at kuchh bhī nahīñ

    ishq o havas ke moḌ pe yuuñ to bhiiḌ hai ik farhādoñ

    ab bhī tire kūche meñ havā.eñ ḳhaak uḌātī phirtī haiñ

    baaqī hai ye ek rivāyat ab bhī tire barbādoñ

    koī tirī tasvīr banā kar na sakā ḳhūn-e-dil se

    lagtī hai har roz numā.ish yuuñ to na.e bahzādoñ

    aaj achanak phir ye kaisi KHushbu phaili yaadon ki

    dil ko aadat chhuT chuki thi muddat se fariyaadon ki

    diwanon ka bhes bana len ya surat shahzadon ki

    dur se pahchani jati hai shakl tere barbaadon ki

    shart-e-shirin kya puri ho tesha-o-jurat kuchh bhi nahin

    ishq o hawas ke moD pe yun to bhiD hai ek farhadon ki

    ab bhi tere kuche mein hawaen KHak uDati phirti hain

    baqi hai ye ek riwayat ab bhi tere barbaadon ki

    koi teri taswir bana kar la na saka KHun-e-dil se

    lagti hai har roz numaish yun to nae bahzadon ki

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 159)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2010)
    • Edition : 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now