aaj apni sham-e-tanhai ka hai manzar juda
aaj apnī shām-e-tanhā.ī kā hai manzar judā
josh-e-dard-e-dil judā hai josh-e-chashm-e-tar judā
aa gayā hai dāman-e-qātil jo apne haath meñ
sab kā ik mahshar judā hai apnā ik mahshar judā
kar diyā ye kyā fusūñ saaqī kī chashm-e-mast ne
ab jo hotā hī nahīñ lab se mire sāġhar judā
maikashān-e-chashm-e-mast-e-nāz saaqī ke liye
kaif-e-har sahbā judā hai zauq-e-har sāġhar judā
aaj apni sham-e-tanhai ka hai manzar juda
josh-e-dard-e-dil juda hai josh-e-chashm-e-tar juda
aa gaya hai daman-e-qatil jo apne hath mein
sab ka ek mahshar juda hai apna ek mahshar juda
kar diya ye kya fusun saqi ki chashm-e-mast ne
ab jo hota hi nahin lab se mere saghar juda
maikashan-e-chashm-e-mast-e-naz saqi ke liye
kaif-e-har sahba juda hai zauq-e-har saghar juda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.