aaj be-parda nazar aane mein kya rakkha hai
aaj be-parda nazar aane meñ kyā rakkhā hai
ye shab-e-vasl hai sharmāne meñ kyā rakkhā hai
ye tirī nargisī āñkhoñ kī kashish hai shāyad
varna saaqī tire paimāne meñ kyā rakkhā hai
sāz-e-ulfat pe vafāoñ kā tarāna chheḌo
zulm aur jaur ke afsāne meñ kyā rakkhā hai
ek haiñ us kī nigāhoñ meñ adū ho ki raqīb
dil to phir dil hai dil aa jaane meñ kyā rakkhā hai
un kā qāsid hai ba-zid saath meñ chaliye 'kāshif'
kal bhī aanā hai to ab aane meñ kyā rakkhā hai
aaj be-parda nazar aane mein kya rakkha hai
ye shab-e-wasl hai sharmane mein kya rakkha hai
ye teri nargisi aankhon ki kashish hai shayad
warna saqi tere paimane mein kya rakkha hai
saz-e-ulfat pe wafaon ka tarana chheDo
zulm aur jaur ke afsane mein kya rakkha hai
ek hain us ki nigahon mein adu ho ki raqib
dil to phir dil hai dil aa jaane mein kya rakkha hai
un ka qasid hai ba-zid sath mein chaliye 'kashif'
kal bhi aana hai to ab aane mein kya rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.