aaj bhar de usi mai se mera jam ai saqi
aaj bhar de usī mai se mirā jaam ai saaqī
aql jis mai ko samajhtī hai harām ai saaqī
tū badal de ye mirī ziist ke shaam aur sahar
sub.h be-nūr hai be-kaif hai shaam ai saaqī
maiñ vo mai-kash nahīñ jo baiTh ke tanhā pī luuñ
kitne mai-ḳhvāroñ kā laayā huuñ salām ai saaqī
apnī hī tishnagī-e-shauq bujhānā to nahīñ
māñgtā huuñ maiñ tirī baḳhshish-e-ām ai saaqī
nām-levā tire baiThe haiñ nigūñ jaam kiye
bazm-e-mai-ḳhāna kā badlā jo nizām ai saaqī
tishna-kām aur tahī-jām raheñge lekin
ġhair ke haath se piinā hai harām ai saaqī
aaj bhar de usi mai se mera jam ai saqi
aql jis mai ko samajhti hai haram ai saqi
tu badal de ye meri zist ke sham aur sahar
subh be-nur hai be-kaif hai sham ai saqi
main wo mai-kash nahin jo baiTh ke tanha pi lun
kitne mai-KHwaron ka laya hun salam ai saqi
apni hi tishnagi-e-shauq bujhana to nahin
mangta hun main teri baKHshish-e-am ai saqi
nam-lewa tere baiThe hain nigun jam kiye
bazm-e-mai-KHana ka badla jo nizam ai saqi
tishna-kaam aur tahi-jam rahenge lekin
ghair ke hath se pina hai haram ai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.