aaj bhi mushkilat kam to nahin
aaj bhī mushkilāt kam to nahīñ
bārish-e-hādsāt kam to nahīñ
ek sūraj ġhurūb hone se
raunaq-e-kā.enāt kam to nahīñ
kyuuñ shikāyat hai mausam-e-gul se
shāḳh par phūl-pāt kam to nahīñ
umr bhar kī rafāqatoñ ke ba.ad
hijr kī ek raat kam to nahīñ
us kī marzī se chaar din jiinā
is qadar bhī hayāt kam to nahīñ
maiñ tirī zaat hī kā hissa huuñ
mujh meñ terī sifāt kam to nahīñ
vaqt se kyā gila karūñ 'shāhid'
vaqt kā iltifāt kam to nahīñ
aaj bhi mushkilat kam to nahin
barish-e-hadsat kam to nahin
ek suraj ghurub hone se
raunaq-e-kaenat kam to nahin
kyun shikayat hai mausam-e-gul se
shaKH par phul-pat kam to nahin
umr bhar ki rafaqaton ke baad
hijr ki ek raat kam to nahin
us ki marzi se chaar din jina
is qadar bhi hayat kam to nahin
main teri zat hi ka hissa hun
mujh mein teri sifat kam to nahin
waqt se kya gila karun 'shahid'
waqt ka iltifat kam to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.