aaj bhi socha bahut
aaj bhī sochā bahut
aur phir royā bahut
maiñ kahīñ bhī thā nahīñ
aa.ina dekhā bahut
aadmī kamzor thā
zaḳhm thā gahrā bahut
thā vo dariyā-dil magar
aap ne māñgā bahut
aib bhī chhup jā.eñge
paas hai paisa bahut
kyā pata kyoñ aap ko
dekh kar dekhā bahut
bas yahī afsos hai
kam likhā bhogā bahut
aaj bhi socha bahut
aur phir roya bahut
main kahin bhi tha nahin
aaina dekha bahut
aadmi kamzor tha
zaKHm tha gahra bahut
tha wo dariya-dil magar
aap ne manga bahut
aib bhi chhup jaenge
pas hai paisa bahut
kya pata kyon aap ko
dekh kar dekha bahut
bas yahi afsos hai
kam likha bhoga bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.