aaj dariche mein wo aana bhul gaya
aaj darīche meñ vo aanā bhuul gayā
maiñ bhī apnā diyā jalānā bhuul gayā
aaj mujhe bhī us kī yaad nahīñ aa.ī
vo bhī mere ḳhvāb meñ aanā bhuul gayā
ḳhat likkhā hai lekin ḳhat ke kone par
vo hoñToñ se phuul banānā bhuul gayā
chalte chalte maiñ us ko ghar le aayā
vo bhī apnā haath chhuḌānā bhuul gayā
ruuTh kar ik bistar pe donoñ baiThe rahe
maiñ us ko vo mujhe manānā bhuul gayā
beleñ dīvāroñ se lipaTnā bhuul ga.iiñ
mausam apne phuul khilānā bhuul gayā
dhuup chaḌhe tak donoñ ghar meñ so.e rahe
maiñ us ko vo mujhe jagānā bhuul gayā
aaj dariche mein wo aana bhul gaya
main bhi apna diya jalana bhul gaya
aaj mujhe bhi us ki yaad nahin aai
wo bhi mere KHwab mein aana bhul gaya
KHat likkha hai lekin KHat ke kone par
wo honTon se phul banana bhul gaya
chalte chalte main us ko ghar le aaya
wo bhi apna hath chhuDana bhul gaya
ruTh kar ek bistar pe donon baiThe rahe
main us ko wo mujhe manana bhul gaya
belen diwaron se lipaTna bhul gain
mausam apne phul khilana bhul gaya
dhup chaDhe tak donon ghar mein soe rahe
main us ko wo mujhe jagana bhul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.