aaj dekhen rang kya dikhlae hai
aaj dekheñ rang kyā dikhlā.e hai
nit nayā jo ruup bhar kar aa.e hai
rafta-o-ā.inda ke andeshe se
jī mirā har haal meñ ghabrā.e hai
dūsroñ kī qabr par ta.amīr-e-qasr
maut kyā tujh ko nahīñ yaad aa.e hai
kyā irāde aadmī ke kyā amal
apnī marzī sab se rab manvā.e hai
sātveñ parde ke andar jo kiyā
sab vo sab ke sāmne aa jaa.e hai
marzī-e-mutlaq tirī qudrat ke khel
chāhe jab phailā.e hai simTā.e hai
dekhtā huuñ jab kisī ko ġham-zadā
jaa.e hai sudh-budh to dil bhar aa.e hai
āshiyāñ banñe se jalne tak kī baat
kahne sunñe kī bhalā kab jaa.e hai
ishq kī rūdād hai bas muḳhtasar
ranj dil ko ranj ko dil khaa.e hai
kaaT lete haiñ kisī Dhab raat din
dekheñ ye bhī kab tak us ko bhaa.e hai
hashr se pahle qayāmat dekh lī
vaqt se pahle bhī vaqt aa jaa.e hai
be-mazā dīvāngī apnī nahīñ
nāsehā tū kyā hameñ samjhā.e hai
go ziyāda apnī qismat kā nahīñ
shukr hai baiThe baiThā.e aa.e hai
zindagī mahdūd hai apnī to kyā
is meñ lā-mahdūdiat aa paa.e hai
ham haiñ dil-bardashta ham haiñ udaas
zāl-e-duniyā naaz kyā dikhlā.e hai
dīn-o-duniyā kī tapish jaatī rahī
zindagānī kī ḳhalish bhī jaa.e hai
ham kahāñ the tere man kī mauj thī
mauj hai mauj aa.e hai aur jaa.e hai
muḳhtasar thī nā-mukammal rah ga.ī
zindagī ke lab pe uf aur haa.e hai
aaj dekhen rang kya dikhlae hai
nit naya jo rup bhar kar aae hai
rafta-o-ainda ke andeshe se
ji mera har haal mein ghabrae hai
dusron ki qabr par tamir-e-qasr
maut kya tujh ko nahin yaad aae hai
kya irade aadmi ke kya amal
apni marzi sab se rab manwae hai
satwen parde ke andar jo kiya
sab wo sab ke samne aa jae hai
marzi-e-mutlaq teri qudrat ke khel
chahe jab phailae hai simTae hai
dekhta hun jab kisi ko gham-zada
jae hai sudh-budh to dil bhar aae hai
aashiyan banne se jalne tak ki baat
kahne sunne ki bhala kab jae hai
ishq ki rudad hai bas muKHtasar
ranj dil ko ranj ko dil khae hai
kaT lete hain kisi Dhab raat din
dekhen ye bhi kab tak us ko bhae hai
hashr se pahle qayamat dekh li
waqt se pahle bhi waqt aa jae hai
be-maza diwangi apni nahin
naseha tu kya hamein samjhae hai
go ziyaada apni qismat ka nahin
shukr hai baiThe baiThae aae hai
zindagi mahdud hai apni to kya
is mein la-mahdudiat aa pae hai
hum hain dil-bardashta hum hain udas
zal-e-duniya naz kya dikhlae hai
din-o-duniya ki tapish jati rahi
zindagani ki KHalish bhi jae hai
hum kahan the tere man ki mauj thi
mauj hai mauj aae hai aur jae hai
muKHtasar thi na-mukammal rah gai
zindagi ke lab pe uf aur hae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.