Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj diwane ka zauq-e-did pura ho gaya

Sardar Saleem

aaj diwane ka zauq-e-did pura ho gaya

Sardar Saleem

MORE BYSardar Saleem

    aaj dīvāne zauq-e-dīd puurā ho gayā

    tujh ko dekhā aur us ke baa'd andhā ho gayā

    dhuup ke hāthoñ pe bai'at kar chukī haiñ Tahniyāñ

    rang saare sabz pattoñ sunahrā ho gayā

    kaan dhartā nahīñ koī mirī āvāz par

    aisā lagtā hai ki saarā shahr murda ho gayā

    sāya-e-dīvār ko oḌhe hue the sab ke sab

    gir ga.ī dīvār ghar ghar barahna ho gayā

    jism o jaañ par sozish-e-ġham huā yaksāñ asar

    sūrateñ sañvlā ga.iiñ jab dard gahrā ho gayā

    ḳhvāhishātī irtiqā meñ dab ga.ī hai shaḳhsiyat

    nafs moTā ho gayā aur shaḳhs dublā ho gayā

    zindagī yātrā meñ saath kyā chhūTā tirā

    muḳhtasar rāsta pal-bhar meñ lambā ho gayā

    ġhālib-dānā se pūchho 'ishq meñ paḌ kar salīm

    ek ma.aqūl aadmī kaise nikammā ho gayā

    aaj diwane ka zauq-e-did pura ho gaya

    tujh ko dekha aur us ke ba'd andha ho gaya

    dhup ke hathon pe bai'at kar chuki hain Tahniyan

    rang sare sabz patton ka sunahra ho gaya

    kan dharta hi nahin koi meri aawaz par

    aisa lagta hai ki sara shahr murda ho gaya

    saya-e-diwar ko oDhe hue the sab ke sab

    gir gai diwar ghar ka ghar barahna ho gaya

    jism o jaan par sozish-e-gham ka hua yaksan asar

    suraten sanwla gain jab dard gahra ho gaya

    KHwahishati irtiqa mein dab gai hai shaKHsiyat

    nafs moTa ho gaya aur shaKHs dubla ho gaya

    zindagi ki yatra mein sath kya chhuTa tera

    muKHtasar sa rasta pal-bhar mein lamba ho gaya

    ghaalib-dana se puchho 'ishq mein paD kar salim

    ek maqul aadmi kaise nikamma ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now