aaj diwane ko be-wajh sataya jae
aaj dīvāne ko be-vaj.h satāyā jaa.e
phuul taaza koī bāloñ meñ lagāyā jaa.e
maiñ sar-e-ām paḌhūñ koī ġhazal logoñ meñ
un kī jānib hī faqat merā ishāra jaa.e
paas haiñ vo dil-e-bīmār duā-go hai ajab
dard jaa.e na mirā na hī masīhā jaa.e
faisla hasb-e-tabī.at ye mohabbat ne kiyā
ik tarah ġham ho salāmat ġham-e-duniyā jaa.e
rok leñ aaj to shāhīn-e-bulandī-e-ḳhayāl
aaj 'sarvar' ke paroñ ko chalo katrā jaa.e
aaj diwane ko be-wajh sataya jae
phul taza koi baalon mein lagaya jae
main sar-e-am paDhun koi ghazal logon mein
un ki jaanib hi faqat mera ishaara jae
pas hain wo dil-e-bimar dua-go hai ajab
dard jae na mera na hi masiha jae
faisla hasb-e-tabiat ye mohabbat ne kiya
ek tarah gham ho salamat gham-e-duniya jae
rok len aaj to shahin-e-bulandi-e-KHayal
aaj 'sarwar' ke paron ko chalo katra jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.