aaj dil soch raha hai jaise
aaj dil soch rahā hai jaise
mai har ik ġham kī davā hai jaise
jaañ hathelī pe liye phirte haiñ
ik yahī shart-e-vafā hai jaise
kahīñ motī kahīñ taare kahīñ phuul
dahr terī hī qabā hai jaise
dasht-e-ġhurbat meñ tirā nāma-e-shauq
haath meñ phuul khilā hai jaise
is tarah chup haiñ tirā ġham le kar
ye bhī qismat kā likhā hai jaise
aaj dil soch raha hai jaise
mai har ek gham ki dawa hai jaise
jaan hatheli pe liye phirte hain
ek yahi shart-e-wafa hai jaise
kahin moti kahin tare kahin phul
dahr teri hi qaba hai jaise
dasht-e-ghurbat mein tera nama-e-shauq
hath mein phul khila hai jaise
is tarah chup hain tera gham le kar
ye bhi qismat ka likha hai jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.