aaj dilbar ke nam ko raT raT
aaj dilbar ke naam ko raT raT
ro diyā lā-ilāj ho paT paT
zulm se tere dil mirā khaT khaT
paara paara huā jigar phaT phaT
ai miyāñ dekh tujh kamar meñ teġh
TukḌe TukḌe jigar huā kaT kaT
mū se bārīk-tar huā huuñ za.iif
terī zulfoñ kī dekh kar laT laT
haath dikhlā ke jī nikāl liyā
ye kalā dekh kar ga.e naT naT
sailī-bāzoñ ke haath se 'hātim'
dil tirā muft meñ gayā baT baT
aaj dilbar ke nam ko raT raT
ro diya la-ilaj ho paT paT
zulm se tere dil mera khaT khaT
para para hua jigar phaT phaT
ai miyan dekh tujh kamar mein tegh
TukDe TukDe jigar hua kaT kaT
mu se barik-tar hua hun zaif
teri zulfon ki dekh kar laT laT
hath dikhla ke ji nikal liya
ye kala dekh kar gae naT naT
saili-bazon ke hath se 'hatim'
dil tera muft mein gaya baT baT
- Book : Diwan Zadah (Pg. 154)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.