aaj had se guzar gaya hai wo
aaj had se guzar gayā hai vo
ishq kar ke mukar gayā hai vo
naqsh-e-pā tak nazar nahīñ aatā
kaun jaane kidhar gayā hai vo
jitnā paanī thā gahre dariyā kā
ek kuuze meñ bhar gayā hai vo
maut se bhī baḌī sazā hai ye
dil mirā toḌ kar gayā hai vo
'nūr' ḳhālī jagah nahīñ dil meñ
zaḳhm hī zaḳhm bhar gayā hai vo
aaj had se guzar gaya hai wo
ishq kar ke mukar gaya hai wo
naqsh-e-pa tak nazar nahin aata
kaun jaane kidhar gaya hai wo
jitna pani tha gahre dariya ka
ek kuze mein bhar gaya hai wo
maut se bhi baDi saza hai ye
dil mera toD kar gaya hai wo
'nur' KHali jagah nahin dil mein
zaKHm hi zaKHm bhar gaya hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.