aaj hai isar ka jazba jo parwanon ke pas
aaj hai īsār kā jazba jo parvānoñ ke paas
thī kabhī ye daulat-e-bedār insānoñ ke paas
'aql hai ik āstīñ kā saañp farzānoñ ke paas
be-ḳhudī kitnī baḌī daulat hai dīvānoñ ke paas
kis kī hai duniyā ye āḳhir sāhab-e-ḳhāna hai kaun
mezbāñ dekhā nahīñ koī bhī mehmānoñ ke paas
azmat-e-dīvāngī kā shor farzānoñ meñ hai
hai ġhanīmat ye bhī rah jaa.e jo dīvānoñ ke paas
sham' raushan ho ga.ī aa jaao jalne ke liye
ye ḳhabar jaatā hai le kar kaun parvānoñ ke paas
gaahe ābādī ke siine tak chale aate haiñ dasht
gaahe ābādī pahuñch jaatī hai vīrānoñ ke paas
ashk-e-hasrat soz-e-ġham dard-e-mohabbat dāġh-e-dil
kyā nahīñ sab kuchh hai tere ḳhasta sāmānoñ ke paas
tum na gar aate to khiñch jaate sanam-ḳhāne vahīñ
tum ne ḳhud tauhīn kī aa kar sanam-ḳhānoñ ke paas
nāḳhudā kashtī ke ruḳh ko moḌ langar kaaT de
mujh ko sāhil sā nazar aatā hai tūfānoñ ke paas
dekheñ ab begāne karte haiñ ishāra kis taraf
mujh ko apnoñ ne to pahuñchāyā hai begānoñ ke paas
'rāj' jaane kis tarah karte haiñ sajde barhaman
maiñ to ban jaatā huuñ but jā kar sanam-ḳhānoñ ke paas
aaj hai isar ka jazba jo parwanon ke pas
thi kabhi ye daulat-e-bedar insanon ke pas
'aql hai ek aastin ka sanp farzanon ke pas
be-KHudi kitni baDi daulat hai diwanon ke pas
kis ki hai duniya ye aaKHir sahab-e-KHana hai kaun
mezban dekha nahin koi bhi mehmanon ke pas
azmat-e-diwangi ka shor farzanon mein hai
hai ghanimat ye bhi rah jae jo diwanon ke pas
sham' raushan ho gai aa jao jalne ke liye
ye KHabar jata hai le kar kaun parwanon ke pas
gahe aabaadi ke sine tak chale aate hain dasht
gahe aabaadi pahunch jati hai viranon ke pas
ashk-e-hasrat soz-e-gham dard-e-mohabbat dagh-e-dil
kya nahin sab kuchh hai tere KHasta samanon ke pas
tum na gar aate to khinch jate sanam-KHane wahin
tum ne KHud tauhin ki aa kar sanam-KHanon ke pas
naKHuda kashti ke ruKH ko moD langar kaT de
mujh ko sahil sa nazar aata hai tufanon ke pas
dekhen ab begane karte hain ishaara kis taraf
mujh ko apnon ne to pahunchaya hai beganon ke pas
'raj' jaane kis tarah karte hain sajde barhaman
main to ban jata hun but ja kar sanam-KHanon ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.