aaj hain kaba-nashin kal sakin-e-but-KHana hum
aaj haiñ ka.aba-nashīñ kal sākin-e-but-ḳhāna ham
apne begāne se yaksāñ rakhte haiñ yārāna ham
ham to qaa.il haiñ tire ai be-ḳhudī-e-ishq jab
ġhair kyā hai ḳhud hoñ apnī yaad se begāna ham
le liyā logoñ ne hāthoñ haath ham pahoñche jahāñ
mahfil-e-ālam meñ haiñ shāyad koī paimāna ham
chashm-e-mast-e-sāqī-e-mad.hosh kī rahtī hai yaad
sāth-sāth apne liye phirte haiñ ik mai-ḳhāna ham
ātish-e-rashk-e-adū se rāt-bhar ai sham.a-rū
terī mahfil meñ jale haiñ sūrat-e-parvāna ham
hijr-e-sāqī meñ hai ye kaifiyyat-e-josh-e-junūñ
pheñkte haiñ toḌte haiñ shīsha-o-paimāna ham
ishq meñ dīvāngī kā naam hai farzāngī
jo na samjhe is ko samjheñge use dīvāna ham
qaid-e-maz.hab se tire pāband-e-ulfat haiñ barī
kyā ġharaz kyoñ jaa.eñ sū-e-ka.aba-o-but-ḳhāna ham
aaj hai is shart par tauba-shikan hone kā qasd
abr udhar chhā.e to chalkā.eñ idhar paimāna ham
dāġh-hā-e-dil chamak kar ab ye kahte haiñ 'fahīm'
hai ye ghar raushan hamīñ se haiñ charāġh-e-ḳhāna ham
aaj hain kaba-nashin kal sakin-e-but-KHana hum
apne begane se yaksan rakhte hain yarana hum
hum to qail hain tere ai be-KHudi-e-ishq jab
ghair kya hai KHud hon apni yaad se begana hum
le liya logon ne hathon hath hum pahonche jahan
mahfil-e-alam mein hain shayad koi paimana hum
chashm-e-mast-e-saqi-e-madhosh ki rahti hai yaad
sath-sath apne liye phirte hain ek mai-KHana hum
aatish-e-rashk-e-adu se raat-bhar ai shama-ru
teri mahfil mein jale hain surat-e-parwana hum
hijr-e-saqi mein hai ye kaifiyyat-e-josh-e-junun
phenkte hain toDte hain shisha-o-paimana hum
ishq mein diwangi ka nam hai farzangi
jo na samjhe is ko samjhenge use diwana hum
qaid-e-mazhab se tere paband-e-ulfat hain bari
kya gharaz kyon jaen su-e-kaba-o-but-KHana hum
aaj hai is shart par tauba-shikan hone ka qasd
abr udhar chhae to chalkaen idhar paimana hum
dagh-ha-e-dil chamak kar ab ye kahte hain 'fahim'
hai ye ghar raushan hamin se hain charagh-e-KHana hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.