aaj hi fursat se kal ka masala chheDunga main
aaj hī fursat se kal kā mas.ala chheḌūñgā maiñ
mas.ala hal ho to hal kā mas.ala chheḌūñgā maiñ
vasl o hijrāñ meñ tanāsub raast honā chāhiye
ishq ke radd-e-amal kā mas.ala chheḌūñgā maiñ
dekhnā sab log mujh ko ḳhārjī Thahrā.eñge
kal yahāñ jañg-e-jamal kā mas.ala chheḌūñgā maiñ
kashtiyoñ vaale mujhe tāvān de kar paar jaa.eñ
varna lahroñ meñ ḳhalal kā mas.ala chheḌūñgā maiñ
mil hī jā.eñge kahīñ to mujh ko 'bedil-haidarī'
kūza-gar vaalī ġhazal kā mas.ala chheḌūñgā maiñ
is shajar kī ek Tahnī parle āñgan meñ bhī hai
apne ham-sā.e se phal kā mas.ala chheḌūñgā maiñ
aaj hi fursat se kal ka masala chheDunga main
masala hal ho to hal ka masala chheDunga main
wasl o hijran mein tanasub rast hona chahiye
ishq ke radd-e-amal ka masala chheDunga main
dekhna sab log mujh ko KHarji Thahraenge
kal yahan jang-e-jamal ka masala chheDunga main
kashtiyon wale mujhe tawan de kar par jaen
warna lahron mein KHalal ka masala chheDunga main
mil hi jaenge kahin to mujh ko 'bedil-haidari'
kuza-gar wali ghazal ka masala chheDunga main
is shajar ki ek Tahni parle aangan mein bhi hai
apne ham-sae se phal ka masala chheDunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.