aaj hoga na tamasha koi hone wala
aaj hogā na tamāshā koī hone vaalā
jā chukā ḳhuun meñ poshāk bhigone vaalā
jis se tā-hashr rag-e-jāñ meñ ujālā karte
daaġh hotā koī be-dāġh na hone vaalā
tak rahā huuñ baḌī muddat se baḌī hasrat se
ghar kī dahlīz pe baiThā hai khilaune vaalā
ahl-e-ġham saare sikandar kī taraf lauT ga.e
ab sar-e-dār charāġhāñ nahīñ hone vaalā
tum bhī is shahr meñ ban jāoge patthar jaise
hañsne vaalā hai yahāñ koī na rone vaalā
ḳhvāb-dar-ḳhvāb hai vo tīra-shabī kā 'ālam
tū bhī aa.e to charāġhāñ nahīñ hone vaalā
mīr-e-manzil se tabāhī kā sabab kyā pūchheñ
duur baiThā hai safīne ko Dubone vaalā
chādar-e-gul ke parastār kahāñ ho 'māhir'
DhūñDhtā hai tumheñ sahrā meñ bichhaune vaalā
aaj hoga na tamasha koi hone wala
ja chuka KHun mein poshak bhigone wala
jis se ta-hashr rag-e-jaan mein ujala karte
dagh hota koi be-dagh na hone wala
tak raha hun baDi muddat se baDi hasrat se
ghar ki dahliz pe baiTha hai khilaune wala
ahl-e-gham sare sikandar ki taraf lauT gae
ab sar-e-dar charaghan nahin hone wala
tum bhi is shahr mein ban jaoge patthar jaise
hansne wala hai yahan koi na rone wala
KHwab-dar-KHwab hai wo tira-shabi ka 'alam
tu bhi aae to charaghan nahin hone wala
mir-e-manzil se tabahi ka sabab kya puchhen
dur baiTha hai safine ko Dubone wala
chadar-e-gul ke parastar kahan ho 'mahir'
DhunDhta hai tumhein sahra mein bichhaune wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.