aaj is waqt wo jab yaad aaya
aaj is vaqt vo jab yaad aayā
''dil ke dukhne kā sabab yaad āyā''
yaad paḌtā hī nahīñ hai mujh ko
kab maiñ bhūlā use kab yaad aayā
jin kī ta.abīr se āñkheñ nam haiñ
phir vahī ḳhvāb-e-tarab yaad aayā
aaj ye raat kaTegī kyūñkar
aaj phir vo be-sabab yaad aayā
aaj is waqt wo jab yaad aaya
dil ke dukhne ka sabab yaad aaya
yaad paDta hi nahin hai mujh ko
kab main bhula use kab yaad aaya
jin ki tabir se aankhen nam hain
phir wahi KHwab-e-tarab yaad aaya
aaj ye raat kaTegi kyunkar
aaj phir wo be-sabab yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.