aaj jo itni sargirani hai
aaj jo itnī sargirānī hai
is meñ poshīda ik kahānī hai
kyā yaqīñ ho ki aaj mānegā
pahle kab us ne baat maanī hai
saaya Dhalne lagā hai peḌoñ kā
piirī ab hāsil-e-javānī hai
hai ragoñ meñ to ḳhuun hai lekin
aañkh meñ aa.e to vo paanī hai
surḳh tan surḳh-rū jo aaya huuñ
shahr vāloñ kī mehrbānī hai
tanz hī vo kare kare to sahī
us kī to ye bhī mehrbānī hai
mamlikat terī jism-o-jāñ mere
merā dil terī rājdhānī hai
kis kī aamad hai aaj gulshan meñ
kis kī ḳhātir ye gul-fishānī hai
sar pe chaḌh aaya hai jo yuuñ sūraj
ye tanazzul kī ik nishānī hai
hai aTal sab ke vāste 'ḳhāvar'
vo jo ik marg-e-nā-gahānī hai
aaj jo itni sargirani hai
is mein poshida ek kahani hai
kya yaqin ho ki aaj manega
pahle kab us ne baat mani hai
saya Dhalne laga hai peDon ka
piri ab hasil-e-jawani hai
hai ragon mein to KHun hai lekin
aankh mein aae to wo pani hai
surKH tan surKH-ru jo aaya hun
shahr walon ki mehrbani hai
tanz hi wo kare kare to sahi
us ki to ye bhi mehrbani hai
mamlikat teri jism-o-jaan mere
mera dil teri rajdhani hai
kis ki aamad hai aaj gulshan mein
kis ki KHatir ye gul-fishani hai
sar pe chaDh aaya hai jo yun suraj
ye tanazzul ki ek nishani hai
hai aTal sab ke waste 'KHawar'
wo jo ek marg-e-na-gahani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.