aaj jo kuchh bhi meri izzat hai
aaj jo kuchh bhī merī izzat hai
bas mere yaar kī badaulat hai
ishq kar ishq ai dil-e-nādāñ
ishq sab se baḌī ibādat hai
lījiye aaj kah hī dete haiñ
haañ hameñ aap se mohabbat hai
jitnā jī chāhe kheliye dil se
aap ko har tarah ijāzat hai
chāhtā huuñ kī dekhtā hī rahūñ
vo jo ek chāñd jaisī sūrat hai
is zamāna meñ pyaar kā matlab
sirf ek raat kī zarūrat hai
jis pe shāhoñ ke sar bhī jhukte haiñ
aise ek dar se merī nisbat hai
aise māhaul meñ miyāñ 'tārīf'
jī rahe haiñ yahī ġhanīmat hai
aaj jo kuchh bhi meri izzat hai
bas mere yar ki badaulat hai
ishq kar ishq ai dil-e-nadan
ishq sab se baDi ibaadat hai
lijiye aaj kah hi dete hain
han hamein aap se mohabbat hai
jitna ji chahe kheliye dil se
aap ko har tarah ijazat hai
chahta hun ki dekhta hi rahun
wo jo ek chand jaisi surat hai
is zamana mein pyar ka matlab
sirf ek raat ki zarurat hai
jis pe shahon ke sar bhi jhukte hain
aise ek dar se meri nisbat hai
aise mahaul mein miyan 'tarif'
ji rahe hain yahi ghanimat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.