aaj-kal ghar mein tirgi hai bahut
āj-kal ghar meñ tīrgī hai bahut
ik faqat aap kī kamī hai bahut
maiñ ne dekhā hai ḳhvāb meñ tujh ko
tere chehre pe tāzgī hai bahut
terī āñkhoñ se dekh luuñ duniyā
terī āñkhoñ meñ raushnī hai bahut
jis kā matlab na koī mā'nā hai
āj-kal aisī shā'irī hai bahut
soch kar baat us se tum karnā
saada insāñ vo falsafī hai bahut
ham bhī vāqif haiñ ḳhū-e-'ahmad' se
us kī fitrat meñ sādgī hai bahut
aaj-kal ghar mein tirgi hai bahut
ek faqat aap ki kami hai bahut
main ne dekha hai KHwab mein tujh ko
tere chehre pe tazgi hai bahut
teri aankhon se dekh lun duniya
teri aankhon mein raushni hai bahut
jis ka matlab na koi ma'na hai
aaj-kal aisi sha'iri hai bahut
soch kar baat us se tum karna
sada insan wo falsafi hai bahut
hum bhi waqif hain KHu-e-'ahmad' se
us ki fitrat mein sadgi hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.