aaj-kal kaba kalisa ho gaya
āj-kal ka.aba kalīsā ho gayā
dil par ik kāfir kā qabza ho gayā
daf.atan dil ko mire kyā ho gayā
kis pe maa.il kis pe shaidā ho gayā
be-qarārī kā sabab khultā nahīñ
baiThe baiThe ye mujhe kyā ho gayā
lā-davā kyoñ ho gayā merā maraz
kyā ḳhafā mujh se masīhā ho gayā
vo ye farmāte haiñ ham samjhe nahīñ
mudda.ā goyā muammā ho gayā
be-ta.alluq ho ga.e duniyā se ham
jab se dil ko ishq terā ho gayā
ab nahīñ pahchāntā koī mujhe
fart-e-ġham se ab ye naqsha ho gayā
kar diyā mahv un ko un ke husn ne
dekh kar ā.īna saktā ho gayā
sun ke sākit sab hue 'hāmid' ke sher
dam-ba-ḳhud jalse kā jalsa ho gayā
aaj-kal kaba kalisa ho gaya
dil par ek kafir ka qabza ho gaya
dafatan dil ko mere kya ho gaya
kis pe mail kis pe shaida ho gaya
be-qarari ka sabab khulta nahin
baiThe baiThe ye mujhe kya ho gaya
la-dawa kyon ho gaya mera maraz
kya KHafa mujh se masiha ho gaya
wo ye farmate hain hum samjhe nahin
muddaa goya muamma ho gaya
be-talluq ho gae duniya se hum
jab se dil ko ishq tera ho gaya
ab nahin pahchanta koi mujhe
fart-e-gham se ab ye naqsha ho gaya
kar diya mahw un ko un ke husn ne
dekh kar aaina sakta ho gaya
sun ke sakit sab hue 'hamid' ke sher
dam-ba-KHud jalse ka jalsa ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.