aaj-kal ushshaq ka diwala nikla jae hai
āj-kal 'ushshāq kā dīvāla niklā jaa.e hai
husn kī farmā.ishoñ kā tax baḌhtā jaa.e hai
ek 'āshiq ġham kā hai ik shādmānī par nisār
koī uttar koī dakhkhin jis ko jo bhā jaa.e hai
bul-havas to nārasā-e-auj-e-bām-e-ishq hai
jis jagah kaanā na pahuñche vaañ pe andhā jaa.e hai
influenza meñ haiñ 'ushshāq aksar mubtalā
kūcha-e-jānāñ mukammal ward bantā jaa.e hai
dosto tum ko sutūñ banñā hai urdu ke liye
varna bārish se ta'assub kī ye ghar Dhah jaa.e hai
sirf iskīmoñ pe mansūbe kā hai dār-o-madār
mashvare hote haiñ jaise ḳhvāb dekhā jaa.e hai
har zamīn-e-sher meñ ġhalla ugaao kī muhim
fikr ke hal se yahāñ avsar ko jotā jaa.e hai
aaj-kal 'ushshaq ka diwala nikla jae hai
husn ki farmaishon ka tax baDhta jae hai
ek 'ashiq gham ka hai ek shadmani par nisar
koi uttar koi dakhkhin jis ko jo bha jae hai
bul-hawas to narasa-e-auj-e-baam-e-ishq hai
jis jagah kana na pahunche wan pe andha jae hai
influenza mein hain 'ushshaq aksar mubtala
kucha-e-jaanan mukammal ward banta jae hai
dosto tum ko sutun banna hai urdu ke liye
warna barish se ta'assub ki ye ghar Dhah jae hai
sirf iskimon pe mansube ka hai dar-o-madar
mashware hote hain jaise KHwab dekha jae hai
har zamin-e-sher mein ghalla ugao ki muhim
fikr ke hal se yahan awsar ko jota jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.