aaj ke daur mein mohabbat kya
aaj ke daur meñ mohabbat kyā
kis ne jaanā hai is kī izzat kyā
ho sikandar yā koī shāh-jahāñ
kaam aa.ī kisī ke daulat kyā
qadr maañ kī jo kar nahīñ saktā
jaane kyā hotī hai ye jannat kyā
dil mirā māñgte ho kyuuñ āḳhir
karnā hai us kī bhī tijārat kyā
jis pe jaa.ez zakāt hai vaa.iz
aap ke paas hai vo daulat kyā
mol terā batā maiñ kyā de duuñ
jāntā hai to apnī qīmat kyā
chain hai amn hai ḳhushī hai yahāñ
hai ye daulat tirī badaulat kyā
pyaar kī aañkh hī nahīñ 'panchhī'
kaun dekhegā dil kī hālat kyā
aaj ke daur mein mohabbat kya
kis ne jaana hai is ki izzat kya
ho sikandar ya koi shah-jahan
kaam aai kisi ke daulat kya
qadr man ki jo kar nahin sakta
jaane kya hoti hai ye jannat kya
dil mera mangte ho kyun aaKHir
karna hai us ki bhi tijarat kya
jis pe jaez zakat hai waiz
aap ke pas hai wo daulat kya
mol tera bata main kya de dun
jaanta hai to apni qimat kya
chain hai amn hai KHushi hai yahan
hai ye daulat teri badaulat kya
pyar ki aankh hi nahin 'panchhi'
kaun dekhega dil ki haalat kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.