aaj ke naghme aaj ke rag
aaj ke naġhme aaj ke raag
sar-tā-pā haiñ aag hī aag
ātishīñ ruḳhsāroñ ne tire
dil meñ lagā dī aag se aag
duur se aatī hai āvāz
dilkash lahja ġhamgīñ raag
duur hai manzil duur tirī
raat Dhalī hai rahrav jaag
phuul kisī ko ḳhaar hameñ
apnī qismat apnā bhaag
aaj kī duniyā meñ yaaro
milte haiñ zahrīle naag
dil kī lagī ne ai 'nayyar'
aur lagā dī aag meñ aag
aaj ke naghme aaj ke rag
sar-ta-pa hain aag hi aag
aatishin ruKHsaron ne tere
dil mein laga di aag se aag
dur se aati hai aawaz
dilkash lahja ghamgin rag
dur hai manzil dur teri
raat Dhali hai rahraw jag
phul kisi ko KHar hamein
apni qismat apna bhag
aaj ki duniya mein yaro
milte hain zahrile nag
dil ki lagi ne ai 'nayyar'
aur laga di aag mein aag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.