aaj ki kya fikr ho kya kal ka andesha karen
aaj kī kyā fikr ho kyā kal kā andesha kareñ
hai yahī jiinā to is jiine pe kyā takiya kareñ
ḳhār-hā-e-rāh ko pairoñ se kab tak rauñdiye
tā-ba-ke ḳhush-fahmiyoñ ko nazr-e-ā.inda kareñ
un kā ahd-e-hukmrānī kho chukā apnā bharam
kāvisheñ apnī vo har har moḌ par kanda kareñ
mauritius meñ ahl-e-dil kī shān-e-dildārī na pūchh
jaan se apnoñ ko māreñ ġhair ko zinda kareñ
kah ga.e hoñge surūr-angez lai meñ kuchh se kuchh
kyā zarūrī hai ki vo puurā bhī ab va.ada kareñ
bandagī aisī bhī kyā jis meñ ḳhulūs-e-dil na ho
ḳhvāhish-e-jannat meñ kyoñ sajdoñ ko ālūda kareñ
muntazir haiñ jaane kab se un ke mushtāqān-e-dīd
āte-jāte vo kahīñ mil jaa.eñ to sajda kareñ
un pareshāñ-hāl chehroñ kī udāsī kyā kahūñ
jāñ-fishānī kar ke din kī shab ko jo faaqa kareñ
ḳhud pukār uTThegī har chashm-e-tajassus āfrīñ
munkashif kyūñkar ham un ke rāz-e-sar-basta kareñ
bā-farāġhat zindagī kī hai ye shart-e-avvalīñ
ik barahman-zād ko ham roz-o-shab sajda kareñ
aaj ki kya fikr ho kya kal ka andesha karen
hai yahi jina to is jine pe kya takiya karen
KHar-ha-e-rah ko pairon se kab tak raundiye
ta-ba-ke KHush-fahmiyon ko nazr-e-ainda karen
un ka ahd-e-hukmrani kho chuka apna bharam
kawishen apni wo har har moD par kanda karen
mauritius mein ahl-e-dil ki shan-e-dildari na puchh
jaan se apnon ko maren ghair ko zinda karen
kah gae honge surur-angez lai mein kuchh se kuchh
kya zaruri hai ki wo pura bhi ab wada karen
bandagi aisi bhi kya jis mein KHulus-e-dil na ho
KHwahish-e-jannat mein kyon sajdon ko aaluda karen
muntazir hain jaane kab se un ke mushtaqan-e-did
aate-jate wo kahin mil jaen to sajda karen
un pareshan-haal chehron ki udasi kya kahun
jaan-fishani kar ke din ki shab ko jo faqa karen
KHud pukar uTThegi har chashm-e-tajassus aafrin
munkashif kyunkar hum un ke raaz-e-sar-basta karen
ba-faraghat zindagi ki hai ye shart-e-awwalin
ek barahman-zad ko hum roz-o-shab sajda karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.